Nazeer Akbarabadi

kisi ne raat kaha uski dekh kar surat

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

kisī ne raat kahā us dekh kar sūrat

ki maiñ ġhulām huuñ is shakl bahar-sūrat

haiñ aa.ine ke bhī kyā tāle.a ab sikandar vaah

ki us nigār dekhe hai har sahar sūrat

ajab bahār huī kal to vaqt-e-nazzāra

jo maiñ idhar ko huā us ne udhar sūrat

udhar ko jab maiñ gayā us ne idhar ko pher

phirā maiñ us ne firā.ī jidhar jidhar sūrat

hazāroñ phurtiyāñ maiñ ne to kiiñ par us ne 'nazīr'

na dekhne mujhe apnī āñkh-bhar sūrat

Top Urdushayar.com