Nazeer Akbarabadi

ayyam-e-shabab apne bhi kya aish-asar the

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
ayyām-e-shabāb apne bhī kyā aish-asar the
kahte haiñ jinheñ aib vo us vaqt hunar the
din-rāt vo mahbūb mayassar the ki jin kī
zulfeñ alam-e-shām thiiñ ruḳh rashk-e-sahar the
saaqī ke idhar jaam idhar nāz-o-adā se
jādū-nazrāñ ḳhush-nighāñ pesh-e-nazar the
mahfil se jo uThte the zarā ham to lipaT kar
nāzuk-badnāñ mū-kamarāñ dast-o-kamar the
hamrāh gul-andāmoñ ke ho ḳhurram-o-ḳhandāñ
bāġh-o-chaman-o-gulshan-o-bustāñ meñ guzar the
kyā shor the kyā zor the har lahza ahā-hā
kyā valvale kyā qahqahe be-ḳhauf-o-ḳhatar the
dikhlā ke jhamak jaate rahe dam meñ 'nazīr' aah
kyā jaane vo din barq the yā misl-e-sharar the
Top Urdushayar.com