Nazeer Akbarabadi

jab aankh us sanam se laDi tab KHabar paDi

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
jab aañkh us sanam se laḌī tab ḳhabar paḌī
ġhaflat kī gard dil se jhaḌī tab ḳhair paḌī
pahle ke jaam meñ na huā kuchh nasha to aah
dilbar ne dī tab us se kaḌī tab ḳhabar paḌī
laa.e the ham to umr paTā yaañ likhā vale
jab siyāhī par safedī chaḌī tab ḳhabar paḌī
dāḌheñ lagīñ ukhaḌne ko dandāñ hue shahīd
majlis meñ chal-ba-chal ye paḌī tab ḳhabar paḌī
bin daañt bhī hañse pa jab āñkheñ chalīñ to aah!
jab laagī āñsūoñ kī jhaḌī tab ḳhabar paḌī
shahtīr sā vo qad thā so ḳham ho ke jhuk gayā
girne lagī kaḌī pe kaḌī tab ḳhabar paḌī
nīchā dikhāyā sher ne to bhī ye samjhe jhuuT
jab chaab lī gale kī naḌī tab ḳhabar paḌī
jab aa.e us gaḌhe meñ 'nazīr' aur hazār man
uupar se aa ke ḳhaak paḌī tab ḳhabar paḌī
Top Urdushayar.com