Nazeer Akbarabadi

hua KHurshid ke dekhe se duna iztirab apna

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

huā ḳhurshīd ke dekhe se duunā iztirāb apnā

ki ye niklā sahar ko aur na niklā āftāb apnā

tire muñh ke jo har dam rū-ba-rū aane ko kahtā hai

zarā ā.īna le kar muñh to dekhe āftāb apnā

na itnā zulm kar ai chāñdnī bahr-e-ḳhudā chhup

tujhe dekhe se yaad aatā hai mujh ko māhtāb apnā

ḳhafā dekhā hai us ko ḳhvāb meñ dil saḳht muztar hai

khilā de dekhiye kyā kyā gul-e-tābīr-e-ḳhvāb apnā

sahar-āsā ayaañ hote rāh-e-adam ham ne

huā aanā bhī aur jaanā bhī aisā kuchh shitāb apnā

'nazīr' is bahr meñ fursat kam aur aish-o-tarab lākhoñ

to phir ab haq-ba-jānib hai kare kyā kyā hisāb apnā

Top Urdushayar.com