kal  nazar  aayā  chaman  meñ  ik  ajab  rashk-e-chaman
gul-ruḳh  o  gul-gūñ  qabā  o  gul-azār  o  gul-badan
mehr-e-tal.at  zohra-paikar  mushtarī-rū  mah-jabīñ
sīm-bar  sīmāb-tab  o  sīm-sāq  o  sīm-tan
nāznīñ  nāz-āfrīñ  nāzuk-badan  nāzuk-mizāj
ġhuncha-lab  rañgīñ-adā  shakkar-dahāñ  shīrīñ-suḳhan
be-muravvat  bevafā  bedard  be-parvā  ḳhirām
jañg-jū  qattāl-vaz  o  sarfarāz  o  sar-fagan
mubtalā  aise  hī  ḳhush-vaz.oñ  ke  hote  haiñ  'nazīr'
be-qarār  o  dil-figār  o  ḳhasta-hāl  be-vatan