ye  husn  hai  aah  yā  qayāmat  ki  ik  bhabhūkā  bhabhak  rahā  hai
falak  pe  sūraj  bhī  thartharā  kar  muñh  us  kā  hairat  se  tak  rahā  hai
khajūrī  choTī  adā  meñ  moTī  jafā  meñ  lambī  vafā  meñ  chhoTī
hai  aisī  khoTī  ki  dil  har  ik  kā  har  ek  laT  meñ  laTak  rahā  hai
vo  nīchī  kāfir  siyāh  paTTī  ki  dil  ke  zaḳhmoñ  pe  bāñdhe  paTTī
paḌhī  hai  jis  ne  ki  us  kī  paTTī  vo  paTTī  se  sar  Tapak  rahā  hai
vo  māthā  aisā  ki  chāñd  nikhre  phir  us  ke  uupar  vo  baal  bikhre
dil  us  ke  dekhe  se  kyuuñ  na  bikhre  ki  misl-e-sūraj  chamak  rahā  hai
vo  chiin  ḳhud-rav  kaTīle  abrū  vo  chashm  jaadū  nigāheñ  aahū
vo  palkeñ  kaj-ḳhū  ki  jin  kā  har  mū  jigar  ke  andar  khaTak  rahā  hai
ġhazab  vo  chanchal  kī  shoḳh-bīnī  phir  us  pe  nathunoñ  kī  nukta-chīnī
phir  us  pe  nath  kī  vo  ham-nashīnī  phir  us  pe  motī  phaḌak  rahā  hai
lab  o  dahāñ  bhī  vo  narm-o-nāzuk  misī  o  paañ  bhī  vo  qahr-o-āfat
suḳhan  bhī  karne  kī  vo  latāfat  ki  goyā  motī  Tapak  rahā  hai
vo  kaan  ḳhūbī  meñ  chhak  rahe  haiñ  javāhroñ  meñ  jhamak  rahe  haiñ
idhar  ko  jhumke  jhamak  rahe  haiñ  udhar  kā  baalā  chamak  rahā  hai
surāhī  gardan  vo  ābgīna  phir  aage  siina  bhī  juuñ  nagīna
bharā  hai  jis  meñ  tamām  kiina  ki  juuñ  nagīna  damak  rahā  hai
kucheñ  vo  kuchh  kuchh  samar  daraḳhtī  kuchh  un  kī  saḳhtī  vo  kuchh  karaḳhtī
haiñ  jis  ne  dekhe  vo  phal  darḳhtī  kaleja  us  kā  dhaḌak  rahā  hai
vo  surḳh  añgiyā  jo  kas  rahī  hai  vo  chus  rahī  hai  ukas  rahī  hai
kuchh  aise  Dhab  se  vo  kas  rahī  hai  ki  us  kā  kasnā  kasak  rahā  hai
vo  peT  dil  ko  lapeT  leve  vo  naaf  jī  ko  sameT  leve
mazār  jī  kā  jhapeT  leve  kuchh  aisā  peḌū  phaḌak  rahā  hai
vo  piiTh  gorī  kamar  vo  patlī  ġhazab  lagāvaT  vo  phir  surīn  kī
ab  aage  kahiye  to  kyā  kahūñ  maiñ  ki  hosh  is  jā  ThiThuk  rahā  hai
faqat  vo  champe  kī  ik  kalī  hai  kuchh  ik  muñdī  hai  kuchh  ik  khulī  hai
salāḳh  sone  kī  ik  Dalī  hai  ki  goyā  kundan  damak  rahā  hai
vo  pyārī  rāneñ  vo  gol  sāqeñ  vo  kaf  mulā.em  vo  narm  pahuñche
kaḌī  kaḌī  se  khaḌak  rahī  hai  kaḌā  kaḌe  se  khaḌak  rahā  hai
'nazīr'  ḳhūbī  maiñ  us  parī  kī  kahūñ  kahāñ  tak  sanā  banā  kar
sifat  sarāpā  meñ  jis  ke  likhne  dil  ab  usī  se  aTak  rahā  hai