dil  kī  kaayā  ġham  ne  vo  palTī  ki  tujh  sā  ban  gayā
dard  meñ  dil  Duub  kar  qatre  se  dariyā  ban  gayā
un  ke  āġhosh-e-mashiyyat  meñ  hai  nākāmī  mirī
kaam  kuchh  is  tarah  bigḌā  hai  ki  goyā  ban  gayā
dil  kī  rut  aisī  to  yād-e-yār  ne  badlī  na  thī
ye  chaman  ujḌā  hī  is  Dhab  se  ki  sahrā  ban  gayā
naqsh-e-mauhūm-e-hayāt  afsāna-dar-afsāna  thā
jab  ye  naqsh  ubhrā  to  ik  harf-e-tamannā  ban  gayā
lo  mubārak  lazzat-e-ġham  bhī  hai  ab  to  nāgavār
dil  mohabbat  meñ  jo  banñā  chāhiye  thā  ban  gayā
jalva-e-kasrat  ḳhud  apnā  shauq-e-be-andāza  thā
mahfil-e-lailā  mirī  nazroñ  meñ  lailā  ban  gayā
merī  mahrūmī  bhī  rusvā  hai  ki  'fānī'  hāl-e-dil
un  ke  kānoñ  tak  na  pahuñchā  aur  fasānā  ban  gayā