Swaleh Nadeem

har qadam sanpon ki aahaT aur main

Swaleh Nadeem

Allahabad, Uttar pradesh, India

1953
har qadam sāñpoñ kī aahaT aur maiñ
aage pīchhe sarsarāhaT aur maiñ
ik taraf chaḌhte hue dariyā kī saañs
ik taraf jañgal kī aahaT aur maiñ
gaañv kī pagDanDiyoñ se shahr tak
chehra chehra bokhalāhaT aur maiñ
ek chehra raushnī sā zehn meñ
band kamra jagmagāhaT aur maiñ
sard māthe par pasīne kī tapish
sham.a kī lau thartharāhaT aur maiñ
ik adhūre ḳhvāb kī ta.abīr dekh
ek piñjra phaḌphaḌāhaT aur maiñ
Dhalte sūraj par hukūmat shaam kī
ā.īne par malgajāhaT aur maiñ
Top Urdushayar.com