zabt  apnā  shi.ār  thā  na  rahā
dil  pe  kuchh  iḳhtiyār  thā  na  rahā
dil-e-marhūm  ko  ḳhudā  baḳhshe
ek  hī  ġham-gusār  thā  na  rahā
aa  ki  vaqt-e-sukūn-e-marg  aayā
naala  nā-ḳhush-gavār  thā  na  rahā
un  kī  be-mehriyoñ  ko  kyā  mālūm
koī  ummīd-vār  thā  na  rahā
aah  kā  e'tibār  bhī  kab  tak
aah  kā  e'tibār  thā  na  rahā
kuchh  zamāne  ko  sāzgār  sahī
jo  hameñ  sāzgār  thā  na  rahā
ab  garebāñ  kahīñ  se  chaak  nahīñ
shuġhl-e-fasl-e-bahār  thā  na  rahā
maut  kā  intizār  baaqī  hai
aap  kā  intizār  thā  na  rahā
mehrbāñ  ye  mazār-e-'fānī'  hai
aap  kā  jāñ-nisār  thā  na  rahā