Talha Rizvi Barq

dard-e-dil ko dastan-dar-dastan hone to do

Talha Rizvi Barq

1941

dard-e-dil ko dāstāñ-dar-dāstāñ hone to do

shahr-e-qātil meñ zarā amn-o-amāñ hone to do

merī āh-e-nīm-shab manzil-numā-e-shauq hai

nāla-e-dil ko rahīl-e-kārvāñ hone to do

aur bhī nā-qadr-dānī-e-hunar yaad aa.egī

ham-nashīnoñ ko malāl-e-raftagāñ hone to do

dil udhar maa.il huā thā ki vahshat baḌh ga.ī

us chāhat ko zarā ātish-ba-jāñ hone to do

ḳhāna-e-be-rañg bhī hai shīsha-e-sad-rañg bhī

dil ko pahle be-niyāz-e-īn-o-āñ hone to do

surḳhī-e-ḳhūn-e-tamannā ābrū-e-ishq hai

ārzūoñ lahū rañg-e-bayāñ hone to do

hai nihāñ mashq-e-suḳhan meñ fikr-o-fan auj-e-suḳhan

haañ zamīn-e-sher ko 'barq' āsmāñ hone to do

Top Urdushayar.com