kuchh  kam  to  huā  ranj-e-farāvān-e-tamannā
āġhāz-e-junūñ  go  nahīñ  pāyān-e-tamannā
phir  yaas  ne  rakkhā  hai  qadam  ḳhāna-e-dil  meñ
yaanī  hai  ab  allāh  nigahbān-e-tamannā
go  chaak  huā  dil  magar  armān  na  nikle
be-fā.eda  kholā  dar-e-zindān-e-tamannā
afsāna  mirā  ḳhvāb-e-zuleḳhā-e-mohabbat
jalva  hai  tirā  yūsuf-e-kan.ān-e-tamannā
juz  vāda-e-bātil  nahīñ  buniyād  kuchh  us  kī
dil  kaañp  uThā  dekh  ke  aivān-e-tamannā
ik  jaan  hai  vo  ḳhair  se  vārafta-e-ġham  hai
ik  dil  hai  so  hai  soḳhta-sāmān-e-tamannā
'fānī'  kā  dam  ik  din  tire  qadmoñ  pe  nikal  jaa.e
dil  kī  ye  tamannā  hai  ab  ai  jān-e-tamannā