na  ibtidā  kī  ḳhabar  hai  na  intihā  ma.alūm
rahā  ye  vahm  ki  ham  haiñ  so  vo  bhī  kyā  ma.alūm
duā  to  ḳhair  duā  se  umīd-e-ḳhair  bhī  hai
ye  mudda.ā  hai  to  anjām-e-mudda.ā  ma.alūm
huā  na  rāz-e-razā  faash  vo  to  ye  kahiye
mire  nasīb  meñ  thī  varna  sa.ī-e-nā-ma.alūm
mirī  vafā  ke  sivā  ġhāyat-e-jafā  kyuuñ  ho
tirī  jafā  ke  sivā  hāsil-e-vafā  ma.alūm
kuchh  un  ke  rahm  pe  thī  yuuñ  hī  zindagī  mauqūf
ki  un  ko  rāz-e-mohabbat  bhī  ho  gayā  ma.alūm
tire  ḳhayāl  ke  asrār  be-ḳhudī  meñ  khule
hamīñ  chhupā  na  sake  varna  dil  ko  kyā  ma.alūm
fareb-e-amn  meñ  kuchh  maslahat  to  hai  varna
sukūn-e-kashtī  o  taufīq-e-nā-ḳhudā  ma.alūm
vo  iltifāt  ki  thā  us  kī  intihā  bhī  hai
ḳhudā  kī  maar  ki  dil  ko  yahī  na  thā  ma.alūm
ye  zindagī  kī  hai  rūdād-e-muḳhtasar  'fānī'
vajūd-e-dard  musallam  ilaaj  nā-mālūm