Farigh Bukhari

apne hi sae mein tha mein shayad chhupa hua

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997

apne saa.e meñ thā meñ shāyad chhupā huā

jab ḳhud haT gayā to kahīñ rāsta milā

jalte rahe haiñ apne dozaḳh meñ raat din

ham se ziyāda koī hamārā adū na thā

dekhā na phir palaT ke kisī shahsavār ne

maiñ har sadā naqsh-e-qadam khojtā rahā

dīvār phāñd kar na yahāñ aa.egā koī

rahne do zaḳhm-e-dil darīcha khulā huā

niklā agar to haath na ā.ūñgā phir kabhī

kab se huuñ is badan kamāñ meñ tanā huā

bedār haiñ shu.ūr kirneñ kahīñ kahīñ

har zehn meñ hai vahm tārīk rāsta

jū-e-nashāt ban ke bahā le ga.ī mujhe

āvāz thī ki sāz-e-javānī aks thā

itnā bhī kaun hogā halāk-e-fareb-e-rañg

shab us ne mai jo hai to mujh ko nasha huā

'fāriġh' havā.e dard ne lauTā diyā jise

aa.egā ek din mirā ghar pūchhtā huā

Top Urdushayar.com