tirī  tirchhī  nazar  kā  tiir  hai  mushkil  se  niklegā
dil  us  ke  saath  niklegā  agar  ye  dil  se  niklegā
shab-e-ġham  meñ  bhī  merī  saḳht-jānī  ko  na  maut  aa.ī
tirā  kaam  ai  ajal  ab  ḳhanjar-e-qātil  se  niklegā
nigāh-e-shauq  merā  mudda.ā  tū  un  ko  samjhā  de
mire  muñh  se  to  harf-e-ārzū  mushkil  se  niklegā
kahāñ  tak  kuchh  na  kahiye  ab  to  naubat  jaan  tak  pahuñchī
takalluf-bar-taraf  ai  zabt  naala  dil  se  niklegā
tasavvur  kyā  tirā  aayā  qayāmat  aa  ga.ī  dil  meñ
ki  ab  har  valvala  bāhar  mazār-e-dil  se  niklegā
na  ā.eñge  vo  tab  bhī  dil  nikal  hī  jā.egā  'fānī'
magar  mushkil  se  niklegā  baḌī  mushkil  se  niklegā