yaañ  hosh  se  be-zār  huā  bhī  nahīñ  jaatā
us  bazm  meñ  hushyār  huā  bhī  nahīñ  jaatā
kahte  ho  ki  ham  vāda-e-pursish  nahīñ  karte
ye  sun  ke  to  bīmār  huā  bhī  nahīñ  jaatā
dushvāri-e-inkār  se  tālib  nahīñ  Darte
yuuñ  sahl  to  iqrār  huā  bhī  nahīñ  jaatā
aate  haiñ  ayādat  ko  to  karte  haiñ  nasīhat
ahbāb  se  ġham-ḳhvār  huā  bhī  nahīñ  jaatā
jaate  hue  khāte  ho  mirī  jaan  kī  qasmeñ
ab  jaan  se  be-zār  huā  bhī  nahīñ  jaatā
ġham  kyā  hai  agar  manzil-e-jānāñ  hai  bahut  duur
kyā  ḳhāk-e-rah-e-yār  huā  bhī  nahīñ  jaatā
dekhā  na  gayā  us  se  taḌapte  hue  dil  ko
zālim  se  jafākār  huā  bhī  nahīñ  jaatā
ye  turfa  sitam  hai  ki  sitam  bhī  hai  karam  bhī
ab  ḳhūgar-e-āzār  huā  bhī  nahīñ  jaatā