Ranjoor Azimabadi

deta hai mujhko charKH-e-kuhan bar bar dagh

Ranjoor Azimabadi

Sadiqpur, Bihar, India

1863-1923

detā hai mujh ko charḳh-e-kuhan baar baar daaġh

uf ek merā siina hai us par hazār daaġh

dete haiñ mere siine meñ kyā bahār daaġh

khaa.e na un ko dekh ke kyuuñ lāla-zār daaġh

laala karegā dil mire kyā barābarī

us par hai ek daaġh yahāñ be-shumār daaġh

duniyā ke saare sadme haiñ kam hijr-e-yār se

de mudda.ī ko bhī na ye parvardigār daaġh

rakhtā hai ishq-e-lāla-ruḳhāñ dil meñ vo nihāñ

siine pe māhtāb ke hai āshkār daaġh

zulmat se najāt dil-e-dāġhdār ne

raushan misāl-e-sham.a hai zer-e-mazār daaġh

har dam na kyuuñ lagā.e rakheñ siine se use

ik māh-rū ke ishq hai yādgār daaġh

qātil mire lahū ne bhī kyā gul khilā.e haiñ

dāman pe tere dete haiñ kyā bahār daaġh

jo zulm chāhe rakh dil-e-'ranjūr' par ravā

de magar use na judā.ī yaar daaġh

Top Urdushayar.com