aah  ab  tak  to  be-asar  na  huī
kuchh  tumhīñ  ko  mirī  ḳhabar  na  huī
shaam  se  fikr-e-sub.h  kyā  shab-e-hijr
mar  raheñge  agar  sahar  na  huī
kis  se  dil  kā  surāġh  pā.eñge  ham
tū  hī  ai  aarzū  agar  na  huī
ḳhalq  samjhī  mujhī  ko  dīvāna
chāra  farmā.e  chārāgar  na  huī
kuchh  nazar  kah  ga.ī  zabāñ  na  khulī
baat  un  se  huī  magar  na  huī
shikva  kyā  un  se  ḳhūn-e-nāhaq  kā
zindagī  thī  huī  basar  na  huī
hashr  kā  din  bhī  Dhal  gayā  'fānī'
dil  kī  rūdād  muḳhtasar  na  huī