Sabir

saint kar iman kuchh din aur rakhna hai abhi

Sabir

Maharashtra, India

1975

saiñt kar īmān kuchh din aur rakhnā hai abhī

āj-kal bāzār meñ mandī hai sastā hai abhī

darmiyāñ jo fāsla rakkhā huā hai abhī

ik yahī us tak pahuñchne vasīla hai abhī

yuuñ sab mil baiThte haiñ sābeqūnal-avvalūn

dasht meñ jaarī hamārā aanā jaanā hai abhī

muskurānā ek fan hai aur maiñ nau-mashq huuñ

phir bhī kyā kam hai use bechain dekhā hai abhī

qumqumoñ raushnī meñ bhī nazar aatā hai chāñd

gaañv meñ merā purānā ik shanāsā hai abhī

jā-ba-jā bikhre paḌe haiñ saare aazā ḳhvāb ke

zer-e-mizhgāñ kis ne ye shab-ḳhūn maarā hai abhī

kyuuñ na ghaḌ leñ kuchh manāqib aur fazā.el habs ke

jab isī andhe kueñ meñ ham ko jiinā hai abhī

Top Urdushayar.com