vo  pūchhte  haiñ  hijr  meñ  hai  iztirāb  kyā
hairān  huuñ  ki  duuñ  unheñ  is  kā  javāb  kyā
dil  aur  vo  bhī  sirf  mirā  dardmand  dil
terī  nigāh  ne  ye  kiyā  intiḳhāb  kyā
jaatī  nahīñ  ḳhalish  alam-e-rozgār  kī
ai  āsmāñ  huā  vo  tirā  inqilāb  kyā
nazzāra-e-jamāl  kī  yaañ  taab  hī  nahīñ
ai  barq-e-husn  chāhiye  tujh  ko  naqāb  kyā
vaada  bhī  kar  lo  vaada  pe  yaañ  aa  bhī  jaao  tum
ye  sab  sahī  tumhārī  nahīñ  kā  javāb  kyā
besh-az-gumān  ḳhvāb  nahīñ  fursat-e-hayāt
'fānī'  tum  is  ḳhayāl  ko  samjhe  ho  ḳhvāb  kyā