vo  kahte  haiñ  ki  hai  TuuTe  hue  dil  par  karam  merā
magar  min-jumla-e-ādāb-e-ġham-ḳhvārī  hai  ġham  merā
vahāñ  sajde  se  ab  tak  qudsiyoñ  ke  sar  nahīñ  uThte
paḌā  thā  jis  jagah  rāh-e-mohabbat  meñ  qadam  merā
zahe  taqdīr-e-nākāmī  ki  terī  maslahat  Thahrī
tirī  marzī  se  vābasta  huā  allāh  re  ġham  merā
na  jāneñ  is  safar  kī  manzil-e-avval  kahāñ  hogī
fanā  kī  āḳhirī  manzil  pe  hai  pahlā  qadam  merā
mire  josh-e-talab  kī  shān-e-istiġhnā  koī  dekhe
ki  maiñ  rahbar  se  aage  mujh  se  aage  hai  qadam  merā
maiñ  vo  āzurda-e-vahm-e-musarrat  huuñ  ma.āz-allāh
ki  ġham  ko  ġham  samajhne  se  bhī  ghabrātā  hai  dam  merā
ye  mahrūm-e-tabassum  mīr-e-sāmān-e-tabassum  hai
tirī  bazm-e-tarab  meñ  mo'tabar  hai  ashk-e-ġham  merā
ab  aage  kis  se  likkhā  jaa.e  āġhāz-e-mohabbat  par
fasāna  ḳhatm  kar  dete  haiñ  arbāb-e-qalam  merā
mirī  āvārgī  har  qaid  se  be-zār  hai  shāyad
ki  ab  us  kī  galī  meñ  bhī  guzar  hotā  hai  kam  merā
baqā  kahte  haiñ  jis  ko  vo  mirā  ehsān  hai  'fānī'
vo  hādis  huuñ  ki  duniyā-e-qadam  bhartī  hai  dam  merā