Munshi Amirullah Tasleem

chaarasaz-e-zaKHm-e-dil waqt-e-rafu rone laga

Munshi Amirullah Tasleem

Faizabad, Uttar pradesh, India

1819-1911
chārasāz-e-zaḳhm-e-dil vaqt-e-rafū rone lagā
jī bhar aayā dīda-e-sozan lahū rone lagā
bas ki thī rone kī aadat vasl meñ bhī yaar se
kah ke apnā aap hāl-e-ārzū rone lagā
ḳhanda-e-zaḳhm-e-jigar ne dil dukhāyā aur bhī
jis ghaḌī TuuTā koī tār-e-rafū rone lagā
sadma-e-be-rahmi-e-sāqī na uTThā bazm meñ
jī bhar aayā dekh kar ḳhālī subū rone lagā
thā adam meñ khīñch laayā āb-o-dāna jab yahāñ
dekh kar bechārgī se chaar sū rone lagā
aa gayā kaabe meñ jab mehrāb-e-abrū kā ḳhayāl
baiTh kar 'taslīm'-e-ḳhasta qibla-rū rone lagā
Top Urdushayar.com