shabāb-e-hosh  ki  fil-jumla  yādgār  huī
jo  umr  sarf-e-tamāshā-e-husn-e-yār  huī
hisāb-e-hasrat-e-jurm-e-nazāra  dil  se  pūchh
nazar  to  ek  jhalak  kī  gunāh-gār  huī
bisāt-e-ajz  meñ  ik  aah  thī  matā-e-hayāt
so  vo  bhī  sarf-e-sitam-hā-e-rozgār  huī
ba-qadr-e-hasti-e-dil  hai  ḳhumār-e-ġham  badnām
ḳhizāñ  ḳharāb  ba-andāza-e-bahār  huī
nahīñ  ki  aah  meñ  tāsīr  hī  nahīñ  lekin
ye  dil-figār  kabhī  āsmāñ-figār  huī
karam  hai  raaz  ummīd-e-karam  kī  hastī  kā
ummīd  tere  karam  kī  ummīd-vār  huī
balā  se  hijr  meñ  jiine  kī  intihā  to  hai
vo  ek  baar  huī  yā  hazār  baar  huī
azal  meñ  ḳhalq  huī  thī  jo  bijliyoñ  kī  ruuh
tirī  nigāh  mirī  jaan  be-qarār  huī
mire  vajūd  kī  hujjat  mire  adam  kī  dalīl
vo  ik  nazar  thī  jo  shāyad  jigar  ke  paar  huī
bahār  nazr-e-taġhāful  huī  ḳhizāñ  Thahrī
ḳhizāñ  shahīd-e-tabassum  huī  bahār  huī
ummīd-e-marg  pe  'fānī'  nisār  kyā  kiije
vo  zindagī  ki  huī  bhī  to  musta.ār  huī