jī  DhūñDhtā  hai  ghar  koī  donoñ  jahāñ  se  duur
is  aap  kī  zamīñ  se  alag  āsmāñ  se  duur
shāyad  maiñ  dar-ḳhur  nigah-e-garm  bhī  nahīñ
bijlī  taḌap  rahī  hai  mire  āshiyāñ  se  duur
āñkheñ  churā  ke  aap  ne  afsāna  kar  diyā
jo  haal  thā  zabāñ  se  qarīb  aur  bayāñ  se  duur
tā-arz-e-shauq  meñ  na  rahe  bandagī  kī  laag
ik  sajda  chāhtā  huuñ  tire  āstāñ  se  duur
hai  man.a  rāh-e-ishq  meñ  dair-o-haram  kā  hosh
ya.anī  kahāñ  se  paas  hai  manzil  kahāñ  se  duur