ab  unheñ  apnī  adāoñ  se  hijāb  aatā  hai
chashm-e-bad-dūr  dulhan  ban  ke  shabāb  aatā  hai
hijr  meñ  bhī  mujhe  imdād-e-ajal  hai  darkār
merī  turbat  pe  na  aa  tujh  se  hijāb  aatā  hai
diid  āḳhir  hai  ulaT  dījiye  chehre  se  naqāb
aaj  mushtāq  ke  chehre  pe  naqāb  aatā  hai
kis  taraf  josh-e-karam  terī  nigāheñ  uTThīñ
kaun  mahshar  meñ  sazā-vār-e-itāb  aatā  hai
maut  kī  niind  bhī  ab  chain  se  sonā  mālūm
ki  janāze  pe  vo  ġhārat-gar-e-ḳhvāb  aatā  hai
dil  ko  is  tarah  Thahar  jaane  kī  aadat  to  na  thī
kyuuñ  ajal  kyā  mire  naame  kā  javāb  aatā  hai
jalva-e-rañg  hai  nairañg-e-taqāzā-e-nigāh
koī  majbūr  tamāsha-e-sarāb  aatā  hai
ho  gayā  ḳhuun  tire  hijr  meñ  dil  kā  shāyad
ab  tasavvur  bhī  tirā  naqsh-bar-āb  aatā  hai
miltī  jultī  hai  mirī  umr-e-do-roza  'fānī'
jī  bhar  aatā  hai  agar  zikr-e-habāb  aatā  hai