kis  tarah  jā.ūñ  ki  ye  aa.e  hue  raat  meñ  haiñ
ye  añdhere  nahīñ  haiñ  saa.e  mirī  ghaat  meñ  haiñ
miltā  rahtā  huuñ  maiñ  un  se  to  ye  mil  lete  haiñ
yaar  ab  dil  meñ  nahīñ  rahte  mulāqāt  meñ  haiñ
ye  to  nākām  asāsa  hai  samundar  ke  paas
kuchh  ġhazabnāk  sī  lahreñ  mire  jazbāt  meñ  haiñ
ye  dhueñ  meñ  jo  nazar  aate  haiñ  sarsabz  yahāñ
ye  makāñ  shahr  meñ  ho  kar  bhī  mazāfāt  meñ  haiñ
dil  kā  chhūnā  thā  ki  jazbāt  hue  patthar  ke
aisā  lagtā  hai  ki  ham  shahr-e-tilismāt  meñ  haiñ
maiñ  hī  takrār  huuñ  aur  maiñ  hī  mukarrar  huuñ  yahāñ
vaqt  par  chalte  hue  din  mirī  auqāt  meñ  haiñ