vā-e-nādānī  ye  hasrat  thī  ki  hotā  dar  khulā
ham  qafas  rāz-e-asīrī  kyā  kaheñ  kyūñkar  khulā
fursat-e-ranj-e-asīrī  dī  na  un  dhaḌkoñ  ne  haa.e
ab  chhurī  sayyād  ne  lī  ab  qafas  kā  dar  khulā
allāh  allāh  ik  duā-e-marg  ke  do  do  asar
vaañ  khulā  bāb-e-ijābat  yaañ  qafas  kā  dar  khulā
uf  is  āzādi-e-be-hañgām  kī  majbūriyāñ
maiñ  qafas  ke  paas  yuuñ  baiThā  hī  rahtā  par  khulā
ujlat-e-parvāz  jab  milne  bhī  de  rāh-e-gurez
yuuñ  to  khulne  ko  qafas  kā  dar  khulā  aksar  khulā
band  hai  bāb-e-qafas  ho  sar  to  paTke  jā.iye
ham  ne  dekhā  hai  qafas  kī  tīliyoñ  meñ  dar  khulā
kam  to  kyā  sayyād  be-tābī  sivā  ho  jā.egī
tū  ne  nāhaq  tīliyoñ  meñ  rakh  diyā  ḳhanjar  khulā
āsmāñ  garam-e-talāfī  chāhiye  kaisā  qafas
bijliyoñ  ke  ik  ishāre  meñ  qafas  kā  dar  khulā
likh  chuke  ham  jā  chukā  ḳhat  gar  yahī  hālat  rahī
haath  meñ  aayā  qalam  aur  shauq  kā  daftar  khulā
dil  meñ  zaḳhm  ashkoñ  meñ  ḳhuuñ  sūrat  ba-bīñ-ālam-mapras
vo  nigah  uf  vo  mizha  nāvak  chhupā  nashtar  khulā
dam-ba-ḳhud  sakte  kā  aalam  murdanī  chhā.ī  huī
rañg  merī  zindagī  kā  merī  mayyat  par  khulā
dil  meñ  terā  dhyān  ik  muddat  rahā  begāna-vār
khulte  hī  khulte  khulā  aur  kyā  hī  sharmā  kar  khulā
dekhiye  kyā  gul  khilātī  hai  bahār  ab  ke  baras
ḳhvāb  meñ  'fānī'  ne  dekhā  hai  qafas  kā  dar  khulā