mar  kar  marīz-e-ġham  kī  vo  hālat  nahīñ  rahī
yaanī  vo  iztirāb  kī  sūrat  nahīñ  rahī
har  lamha-e-hayāt  rahā  vaqf  kār-e-shauq
marne  kī  umr  bhar  mujhe  fursat  nahīñ  rahī
ek  nāla-e-ḳhamosh  musalsal  hai  aur  ham
yādash-ba-ḳhair  zabt  kī  tāqat  nahīñ  rahī
vo  ahd-e-dil-farebi-e-tāsīr  ab  kahāñ
muddat  se  aah  aah  kī  hasrat  nahīñ  rahī
dil  aur  havā-e-silsila-e-jambāni-e-nashāt
kyuuñ  pās-e-vaz-e-ġham  tujhe  ġhairat  nahīñ  rahī
har  be-gunāh  se  vāda-e-baḳhshish  hai  roz-e-hashr
goyā  gunāh  kī  bhī  zarūrat  nahīñ  rahī
ai  arz-e-shauq  muzhda  ki  dil  chaak  ho  gayā
taklīf  parda-dāri-e-hasrat  nahīñ  rahī
pathrā  ga.ī  thī  aañkh  magar  band  to  na  thī
ab  ye  bhī  intizār  kī  sūrat  nahīñ  rahī
ibrat  ne  bekasī  kā  nishāñ  bhī  miTā  diyā
uḌtī  thī  jis  pe  ḳhaak  vo  turbat  nahīñ  rahī
mahshar  meñ  bhī  vo  ahd-e-vafā  se  mukar  ga.e
jis  kī  ḳhushī  thī  ab  vo  qayāmat  nahīñ  rahī
kis  muñh  se  ġham  ke  zabt  kā  daavā  kare  koī
tāqat  ba-qadr-e-hasrat-e-rāhat  nahīñ  rahī
'fānī'  ummīd-e-marg  ne  bhī  de  diyā  javāb
jiine  kī  hijr  meñ  koī  sūrat  nahīñ  rahī