qasam  na  khaao  taġhāful  se  baaz  aane  kī
ki  dil  meñ  ab  nahīñ  tāqat  satā.e  jaane  kī
hamārī  maut  ne  kuchh  muḳhtasar  kiyā  varna
kuchh  intihā  hī  na  thī  ishq  ke  fasāne  kī
girī  na  barq  kuchh  is  ḳhauf  se  mire  hote
taḌap  ke  aag  bujhā  duuñ  na  āshiyāne  kī
tumhārā  dard  to  darmāñ  banā  liyā  ham  ne
ab  aur  sochiye  tadbīr  dil  dukhāne  kī
zamāna  kufr-e-mohabbat  se  kar  chukā  thā  gurez
tirī  nazar  ne  palaT  dī  havā  zamāne  kī
palaT  palaT  ke  qafas  hī  kī  samt  jaatā  huuñ
kisī  ne  raah  batā.ī  na  āshiyāne  kī
najāt  dī  ġham-e-duniyā  se  dard-e-dil  ne  mujhe
ye  ek  raah  milī  ġham  se  chhūT  jaane  kī
vo  sub.h-e-īd  kā  manzar  tire  tasavvur  meñ
vo  dil  meñ  aa  ke  adā  tere  muskurāne  kī
batā  rahā  hai  har  andāz  ḳhāk-e-'fānī'  kā
ye  ḳhaak  hai  usī  kāfir  ke  āstāne  kī