apnī  jannat  mujhe  dikhlā  na  sakā  tū  vaa.iz
kūcha-e-yār  meñ  chal  dekh  le  jannat  merī
saarī  duniyā  se  anokhī  hai  zamāne  se  judā
nemat-e-ḳhās  hai  allāh  re  qismat  merī
shikva-e-hijr  pe  sar  kaaT  ke  farmāte  haiñ
phir  karoge  kabhī  is  muñh  se  shikāyat  merī
terī  qudrat  kā  nazāra  hai  mirā  ijz  gunāh
terī  rahmat  kā  ishāra  hai  nidāmat  merī
lo  tabassum  bhī  sharīk-e-nigah-e-nāz  huā
aaj  kuchh  aur  baḌhā  dī  ga.ī  qīmat  merī
faiz  yak  lamha-e-dīdār  salāmat  'fānī'
ġham  ki  har  roz  hai  baḌhtī  huī  daulat  merī