aur  kis  kā  ghar  kushāda  hai  kahāñ  Thahregī  raat
mujh  ko  hī  mehmāñ-navāzī  kā  sharaf  baḳhshegī  raat
niiñd  aa.egī  na  un  be-ḳhvāb  āñkhoñ  meñ  kabhī
mujh  ko  thapkī  dete  dete  aap  so  jā.egī  raat
shaam  hargiz  din  ke  siine  meñ  na  ḳhanjar  ghoñptī
ye  agar  mālūm  hotā  ḳhūñ-bahā  māñgegī  raat
āñsuoñ  se  tar-ba-tar  ho  jā.egā  āñgan  tamām
karb-e-tanhā.ī  pe  apne  phuuT  kar  ro.egī  raat
chāñd-tāroñ  ko  chhupā  bhī  leñ  ghane  bādal  agar
jhilmilāte  jugnuoñ  se  rāsta  pūchhegī  raat
apne  apne  lutf  se  donoñ  navāzeñge  mujhe
zaḳhm-e-dil  baḳhshegā  din  us  par  namak  chhiḌkegī  raat
sūraj  apne  rath  ko  phir  ākāsh  par  dauḌā.egā
sub.h  kā  taarā  nikalte  hī  simaT  jā.egī  raat
jab  tire  juuḌe  kā  gajrā  yaad  aa.egā  mujhe
rāt-kī-rānī  ke  phūloñ  se  mahak  uThegī  raat
ghar  palaT  kar  jā.ūñgā  ruḳh  par  liye  din-bhar  kī  dhuul
mujh  ko  ai  'ābid'  baḌī  mushkil  se  pahchānegī  raat