chāñd  se  apnī  yaarī  thī
zulmat  bhī  ujyālī  thī
chīḳh  thī  dil  ke  gumbad  meñ
hoñToñ  par  ḳhāmoshī  thī
ek  anokhā  anubhau  thā
ghaḌī  milan  kī  nyārī  thī
TuuTī  kashtī  patthar  ret
sāmne  sūkhī  naddī  thī
din  meñ  taare  dekhe  the
anhonī  bhī  honī  thī
sāhil  par  thī  aag  hī  aag
dariyā  meñ  tuġhyānī  thī
hadd-e-nazar  tak  sahrā  thā
sar  par  dhuup  balā  kī  thī
lafz  the  sab  pāyāb  magar
baat  nihāyat  gahrī  thī
'ābid'  nā-mumkin  thī  jiit
vaqt  kī  chaal  hī  aisī  thī