be-tamannā  huuñ  ḳhasta-jān  huuñ  maiñ
ek  ujḌā  huā  makān  huuñ  maiñ
jañg  to  ho  rahī  hai  sarhad  par
apne  ghar  meñ  lahūluhān  huuñ  maiñ
ġham-o-ālām  bhī  haiñ  mujh  ko  aziiz
qadr-dānoñ  kā  qadr-dān  huuñ  maiñ
zabt  tahzīb  hai  mohabbat  kī
vo  samajhte  haiñ  be-zabān  huuñ  maiñ
lab  pe  iḳhlās  haath  meñ  ḳhanjar
kaise  yāroñ  ke  darmiyān  huuñ  maiñ
chhed  hī  chhed  haiñ  faqat  jis  meñ
aisī  kashtī  kā  bādbān  huuñ  maiñ
jo  kisī  ko  bhī  aaj  yaad  nahīñ
bhūlī-bisrī  vo  dāstān  huuñ  maiñ
yā  girāñ-gosh  hai  nagar  kā  nagar
yā  kisī  dasht  meñ  azaan  huuñ  maiñ
shā.irī  ho  ki  āshiqī  'ābid'
har  rivāyat  kā  pāsbān  huuñ  maiñ