sirf  karb-e-anā  diyā  hai  mujhe
zindagī  ne  bhī  kyā  diyā  hai  mujhe
muskurāte  hue  bhī  Dartā  huuñ
ġham  ne  buzdil  banā  diyā  hai  mujhe
jis  tarah  ret  par  ho  naqsh  koī
yuuñ  havā  ne  miTā  diyā  hai  mujhe
maiñ  use  dil-lagī  samajhtā  thā
tū  ne  sach-much  bhulā  diyā  hai  mujhe
yārab  is  be-hisoñ  ke  shahr  meñ  kyuuñ
dil-e-dard-āshnā  diyā  hai  mujhe
vo  bhī  ThanDī  havā  kā  jhoñkā  thā
jis  ne  yaksar  jalā  diyā  hai  mujhe
us  ne  rakkhā  hai  be-tarah  masrūf
roz  hī  ġham  nayā  diyā  hai  mujhe
aaj  mere  hī  dil  ne  ai  'ābid'
apnā  dushman  banā  diyā  hai  mujhe