agle  paḌāv  par  yūñhī  ḳhema  lagāoge
jitnī  bhī  hai  safar  kī  thakan  bhuul  jāoge
bāhar  havā-e-tez  lagā.e  hue  hai  ghaat
ghar  se  jo  nikle  ab  ki  palaT  kar  na  aaoge
har  shaḳhs  apne  aap  meñ  masrūf  hai  yahāñ
kis  ko  fasāna-e-dil-e-muztar  sunāoge
tābinda-ḳhvāb  dekh  kar  āñkheñ  khuleñgī  jab
zulmāt  ke  baġhair  yahāñ  kuchh  na  pāoge
ik  dūsre  se  ho  ke  alag  ḳhush  rahegā  kaun
taḌpeñge  ham  bhī  ḳhud  bhī  tum  aañsū  bahāoge
jā  to  rahe  ho  jins-e-vafā  kī  talāsh  meñ
saath  apne  yāsiyat  ke  sivā  kuchh  na  lāoge
girdāb  sāmne  hai  muḳhālif  havā.eñ  haiñ
kashtī  ko  kaise  jānib-e-sāhil  ghumāoge
jis  ko  ḳhulūs  samjhe  hue  the  vo  kyā  huā
kitnā  yaqīn  thā  tumheñ  dhokā  na  khāoge
parbat  haiñ  barf-posh  qadam  dekh-bhāl  kar
'ābid'  phisal  ga.e  to  sambhalne  na  pāoge