vāhime  kī  ye  mashq-e-paiham  kyā
yaas  o  ummīd  shādī  o  ġham  kyā
tum  ko  is  rāz-e-mā-sivā  kī  qasam
tum  pe  chhāyā  huā  hai  aalam  kyā
un  ke  aage  ġham  ik  fasāna  hai
un  se  kahiye  fasāna-e-ġham  kyā
aish-e-rafta  kī  yaad  se  hāsil
qissa-e-ḳhuld  o  zikr-e-ādam  kyā
tā-kujā  āh-e-zer-e-lab  āḳhir
intihā-e-sukūt  barham  kyā
ġham-e-duniyā  ba-qadr-e-zarf  nahīñ
hasrat-e-besh  o  shikva-e-kam  kyā
soz-e-ġham  kī  hadeñ  nahīñ  miltīñ
bujh  ga.ī  ātish-e-jahannam  kyā
garm-o-sard-e-zamāna  jo  kuchh  ho
varna  firdaus  kyā  jahannam  kyā
maut  jis  kī  hayāt  ho  'fānī'
us  shahīd-e-sitam  kā  mātam  kyā