kuchh  bas  hī  na  thā  varna  ye  ilzām  na  lete
ham  tujh  se  chhupā  kar  bhī  tirā  naam  na  lete
nazreñ  na  bachānā  thiiñ  nazar  mujh  se  milā  kar
paiġhām  na  denā  thā  to  paiġhām  na  lete
kyā  umr  meñ  ik  aah  bhī  baḳhshī  nahīñ  jaatī
ik  saañs  bhī  kyā  aap  ke  nākām  na  lete
ab  mai  meñ  na  vo  kaif  na  ab  jaam  meñ  vo  baat
ai  kaash  tire  haath  se  ham  jaam  na  lete
qaabū  hī  ġham-e-ishq  pe  chaltā  nahīñ  varna
ehsān-e-ġham-e-gardish-e-ayyām  na  lete
ham  haiñ  vo  balā  dost  ki  gulshan  kā  to  kyā  zikr
jannat  bhī  bajā.e  qafas  o  daam  na  lete
ḳhāmosh  bhī  rahte  to  shikāyat  hī  Thahartī
dil  de  ke  kahāñ  tak  koī  ilzām  na  lete
allāh  re  mire  dil  kī  nazākat  kā  taqāzā
tāsīr-e-mohabbat  se  bhī  ham  kaam  na  lete
terī  hī  razā  aur  thī  varna  tire  bismil
talvār  ke  saa.e  meñ  bhī  ārām  na  lete
ik  jabr  hai  ye  zindagī  ishq  ki  'fānī'
ham  muft  bhī  ye  aish-e-ġham-anjām  na  lete