ho  kaash  vafā  vāda-e-fardā-e-qayāmat
aa.egī  magar  dekhiye  kab  aa.e  qayāmat
suntā  huuñ  ki  hañgāma-e-dīdār  bhī  hogā
ek  aur  qayāmat  hai  ye  bālā-e-qayāmat
ham  dil  ko  in  alfāz  se  karte  haiñ  muḳhātab
ai  jalva-gah-e-anjuman-ārā-e-qayāmat
allāh  bachā.e  ġham-e-furqat  vo  balā  hai
munkir  kī  nigāhoñ  pe  bhī  chhā  jaa.e  qayāmat
'fānī'  ye  magar  rāh-e-mohabbat  kī  zamīñ  hai
har  zarre  meñ  hai  vusat-e-sahrā-e-qayāmat