ziist  kā  hāsil  banāyā  dil  jo  goyā  kuchh  na  thā
ġham  ne  dil  ko  dil  banāyā  varna  kyā  thā  kuchh  na  thā
vo  to  mere  sāmne  the  dekhne  kī  der  thī
maiñ  ne  āñkheñ  band  kar  liiñ  varna  pardā  kuchh  na  thā
yā  alam-koshī  rahī  yā  ḳhud-farāmoshī  rahī
dil  kisī  din  dil  na  thā  yā  dard  thā  yā  kuchh  na  thā
kuchh  samajh  kar  ḳhud  hī  ham  ne  jaan  de  dī  dil  ke  saath
un  kī  nazroñ  kā  abhī  aisā  taqāzā  kuchh  na  thā
aap  kā  dīvāna  thā  ye  idda.ā  bātil  sahī
'fānī'-e-dīvāna  dīvāna  bhī  thā  yā  kuchh  na  thā