ik  fasāna  sun  ga.e  ik  kah  ga.e
maiñ  jo  royā  muskurā  kar  rah  ga.e
yā  tire  mohtāj  haiñ  ai  ḳhūn-e-dil
yā  inhīñ  āñkhoñ  se  dariyā  bah  ga.e
maut  un  kā  muñh  hī  taktī  rah  ga.ī
jo  tirī  furqat  ke  sadme  sah  ga.e
tū  salāmat  hai  to  ham  ai  dard-e-dil
mar  hī  jā.eñge  jo  jiite  rah  ga.e
phir  kisī  kī  yaad  ne  taḌpā  diyā
phir  kaleja  thaam  kar  ham  rah  ga.e
uTh  ga.e  duniyā  se  'fānī'  ahl-e-zauq
ek  ham  marne  ko  zinda  rah  ga.e