jin  ḳhaak  ke  zarroñ  par  vo  sāya-e-mahmil  thā
jo  ḳhaak  kā  zarra  thā  vahshat-kada-e-dil  thā
bedād  kī  har  tah  meñ  sau  tarah  se  shāmil  thā
vo  jaan  kā  dushman  jo  kahne  ko  mirā  dil  thā
ġham  husn-e-mukammal  thā  dil  hairat-e-kāmil  thā
tasvīr  kā  ā.īna  tasvīr  ke  qābil  thā
ham  jī  se  guzar  jaanā  āsān  samajhte  the
dekhā  to  mohabbat  meñ  ye  kaam  bhī  mushkil  thā
ā.īna-o-dil  donoñ  kahne  hī  kī  bāteñ  thiiñ
terī  hī  tajallī  thī  aur  tū  hī  muqābil  thā
har  bātil-o-har-nāhaq  ik  rāz-e-haqīqat  hai
jis  shakl  meñ  haq  aayā  vābasta-e-bātil  thā
haañ  aap  kisī  ko  yuuñ  barbād  nahīñ  karte
ye  'fānī'-e-nākārā  sach  hai  isī  qābil  thā