mujh  pe  rakhte  haiñ  hashr  meñ  ilzām
aa  na  jaa.e  zabāñ  pe  terā  naam
zabt  kī  koshisheñ  bhī  jaarī  haiñ
dard  bhī  kar  rahā  hai  apnā  kaam
jo  ibārat  na  ho  tire  ġham  se
ahl-e-dil  par  vo  zindagī  hai  harām
vaqfa-e-maut  bhī  ġhanīmat  hai
kuchh  to  fil-jumla  mil  gayā  ārām
us  ne  dekhā  hai  shaam  kā  manzar
jis  ne  dekhī  hai  bekasoñ  kī  shaam
kis  se  ab  dard  kī  davā  chāhūñ
dard  uThtā  hai  le  ke  terā  naam
ab  qayāmat  qarīb  hai  'fānī'
fitna-e-ishq  ho  chalā  hai  tamām