Iqbal Ashhar

tumhaari KHushbu thi ham-safar to hamara lahja hi dusra tha

Iqbal Ashhar

1965

tumhārī ḳhushbū thī ham-safar to hamārā lahja dūsrā thā

ye aks bhī āshnā hai kuchh magar vo chehra dūsrā thā

vo adh-khulī khiḌkiyoñ mausam guzar gayā to ye raaz jaanā

idhar shanāsā.ī tak nahīñ thī udhar taqāzā dūsrā thā

gulāb khilte the chāhatoñ ke charāġh jalte the āhaToñ ke

jahāñ barastī haiñ vahshateñ ab kabhī vo rasta dūsrā thā

kabhī na kahtā thā dil hamārā ki āñ.suoñ ko likheñ sitāra

judā.iyoñ kasak se pahle ye isti.āra dūsrā thā

udaas lafzoñ ke rāste meñ ye raushnī lakīr kab thī

mohabbatoñ ke safar se pahle ġhazal lahja dūsrā thā

Top Urdushayar.com