jiine  kī  hai  ummīd  na  marne  kā  yaqīñ  hai
ab  dil  kā  ye  aalam  hai  na  duniyā  hai  na  diiñ  hai
gum  haiñ  reh-e-taslīm  meñ  tālib  bhī  talab  bhī
sajda  hī  dar-e-yār  hai  sajda  hī  jabīñ  hai
kuchh  maz.har-e-bātin  huuñ  to  kuchh  mahram-e-zāhir
merī  hī  vo  hastī  hai  ki  hai  aur  nahīñ  hai
iizā  ke  sivā  lazzat-e-īzā  bhī  milegī
kyuuñ  jalva-gah-e-hosh  yahāñ  dil  bhī  kahīñ  hai
māyūs  sahī  hasrati-e-maut  huuñ  'fānī'
kis  muñh  se  kahūñ  dil  meñ  tamannā  hī  nahīñ  hai