ham  maut  bhī  aa.e  to  masrūr  nahīñ  hote
majbūr-e-ġham  itne  bhī  majbūr  nahīñ  hote
dil  hī  meñ  nahīñ  rahte  āñkhoñ  meñ  bhī  rahte  ho
tum  duur  bhī  rahte  ho  to  duur  nahīñ  hote
paḌtī  haiñ  abhī  dil  par  sharmā.ī  huī  nazreñ
jo  vaar  vo  karte  haiñ  bharpūr  nahīñ  hote
ummīd  ke  vādoñ  se  jī  kuchh  to  bahaltā  thā
ab  ye  bhī  tire  ġham  ko  manzūr  nahīñ  hote
arbāb-e-mohabbat  par  tum  zulm  ke  baanī  ho
ye  varna  mohabbat  ke  dastūr  nahīñ  hote
kaunain  pe  bhārī  hai  allāh  re  ġhurūr  un  kā
itne  bhī  adā  vaale  maġhrūr  nahīñ  hote
hai  ishq  tirā  'fānī'  tash.hīr  bhī  shohrat  bhī
rusvā-e-mohabbat  yuuñ  mash.hūr  nahīñ  hote