be-ḳhudī  pe  thā  'fānī'  kuchh  na  iḳhtiyār  apnā
umr  bhar  kiyā  nāhaq  ham  ne  intizār  apnā
tāb-e-zabt-e-ġham  ne  bhī  de  diyā  javāb  āḳhir
un  ke  dil  se  uThtā  hai  aaj  e'tibār  apnā
ishq  zindagī  Thahrā  lekin  ab  ye  mushkil  hai
zindagī  se  hotā  hai  ahd  ustuvār  apnā
shikva  barmalā  karte  ḳhair  ye  to  kyā  karte
haañ  magar  jo  ban  paḌtā  shikva  ek  baar  apnā
ġham  hī  jī  kā  dushman  thā  ġham  se  duur  rahte  the
ġham  hī  rah  gayā  āḳhir  ek  ġham-gusār  apnā
le  gayā  chaman  ko  bhī  mausam-e-bahār  aa  kar
ab  qafas  kā  gosha  hai  hāsil-e-bahār  apnā
jhuuT  hī  sahī  vaada  kyuuñ  yaqīñ  na  kar  lete
baat  dil-fareb  un  kī  dil  umīd-vār  apnā
inqilāb-e-ālam  meñ  varna  der  hī  kyā  thī
un  ke  āstāñ  tak  thā  ḳhair  se  ġhubār  apnā
dil  hai  muztarib  'fānī'  aañkh  mahv-e-hairat  hai
dil  ne  de  diyā  shāyad  aañkh  ko  qarār  apnā