har  tabassum  ko  chaman  meñ  girya-sāmāñ  dekh  kar
jī  laraz  jaatā  hai  in  ġhunchoñ  ko  ḳhandāñ  dekh  kar
āḳhir  āḳhir  hosh  hī  vahshat  bhī  thā  hairat  bhī  thā
dil  ko  ālam-āfrīñ  sahrā-bad-amāñ  dekh  kar
sheva  apnā  ġham-parastī  qibla  apnā  ḳhāk-e-dil
rūh-e-ġham  ko  paikar-e-ḳhākī  meñ  insāñ  dekh  kar
har  tasallī  se  sivā  hotī  ga.ī  dil  kī  taḌap
dard  kuchh  se  kuchh  huā  sāmān-e-darmāñ  dekh  kar
us  ko  in.ām-e-ḳhudī  aur  is  par  lutf-e-be-ḳhudī
vo  karam  karte  haiñ  zarf-e-ahl-e-irfāñ  dekh  kar
ma.ānī-e-sūrat  meñ  ham  ne  terī  sūrat  dekh  lī
terī  qudrat  dekh  lī  insāñ  ko  insāñ  dekh  kar
qabr-e-'fānī'  par  maiñ  vo  barchīda-dāman  ai  nasīm
muntashir  kar  ḳhaak  lekin  un  kā  dāmāñ  dekh  kar