kyuuñ  na  nairañg-e-junūñ  par  koī  qurbāñ  ho  jaa.e
ghar  vo  sahrā  ki  bahār  aa.e  to  zindāñ  ho  jaa.e
barq  dam  lene  ko  Thahre  to  rag-e-jāñ  ho  jaa.e
fitna-e-hashr  mujassam  ho  to  insāñ  ho  jaa.e
jauhar-e-ā.īna  dil  hai  vo  tasvīr  hai  tū
dil  vo  ā.īna  ki  tū  dekh  ke  hairāñ  ho  jaa.e
ġham  vo  rāhat  jise  qismat  ke  dhanī  paate  haiñ
dam  vo  mushkil  hai  ki  maut  aa.e  to  āsāñ  ho  jaa.e
ishq  vo  kufr  ki  īmān  hai  dil  vāloñ  kā
aql  majbūr  vo  kāfir  jo  musalmāñ  ho  jaa.e
zarra  vo  rāz-e-bayābāñ  hai  jo  ifshā  na  huā
dasht-e-vahshat  hai  vo  zarra  jo  bayābāñ  ho  jaa.e
ġham-e-mehsūs  vo  bātil  jise  kahte  haiñ  majāz
dil  kī  hastī  vo  haqīqat  hai  jo  uryāñ  ho  jaa.e
ḳhuld  mai-ḳhāne  ko  kahte  haiñ  ba-qaul-e-vā.iz
kaaba  but-ḳhāne  ko  kahte  haiñ  jo  vīrāñ  ho  jaa.e
sajda  kahte  haiñ  dar-e-yār  pe  mar  jaane  ko
qibla  vo  sar  hai  jo  ḳhāk-e-rah-e-jānāñ  ho  jaa.e
maut  vo  din  bhī  dikhā.e  mujhe  jis  din  'fānī'
zindagī  apnī  jafāoñ  pe  pashīmāñ  ho  jaa.e