Akhtar Azad

kya hasin raat hai is raat se Darte kyun ho

Akhtar Azad

Hazaribagh, Jharkhand, India

1946
kyā hasīñ raat hai is raat se Darte kyuuñ ho
aa ga.e ho to mulāqāt se Darte kyuuñ ho
naam aatā hai mirā jab bhī kisī mahfil meñ
ye batāo ki savālāt se Darte kyuuñ ho
dil lubhāne ke bhī andāz huā karte haiñ
mast āñkhoñ ke ishārāt se Darte kyuuñ ho
ka.ī barsāt ke mausam haiñ mirī āñkhoñ meñ
aatī jaatī huī barsāt se Darte kyuuñ ho
log achchhoñ ko bhī duniyā meñ burā kahte haiñ
kyā kahegā koī is baat se Darte kyuuñ ho
zindagī miltī hai insān ko jiine ke liye
muskurāte raho sadmāt se Darte kyuuñ ho
zikr-e-māzī ke tasavvur se pareshāñ ho kar
zinda rahnā hai to hālāt se Darte kyuuñ ho
Top Urdushayar.com