yuuñ  nazm-e-jahāñ  darham-o-barham  na  huā  thā
aisā  bhī  tire  husn  kā  aalam  na  huā  thā
phir  chheḌ  diyā  vus.at-e-mahshar  kī  fazā  ne
saudā  tire  vahshī  kā  abhī  kam  na  huā  thā
yā  ishrat-e-do-rozā  thā  yā  hasrat-e-dīroz
vo  lamha-e-hastī  jo  abhī  ġham  na  huā  thā
sad  haif  vo  gul  ho  kaf-e-gul-chīñ  meñ  jo  ab  tak
āzurda-e-āvezish-e-shabnam  na  huā  thā
qātil  hī  mirā  kyuuñ  ise  kahtā  hai  zamāna
maanā  vo  sharīk-e-saf-e-mātam  na  huā  thā
raaz  aaj  mire  dam  se  huā  rāz-e-mohabbat
kuchh  raaz  na  thā  jab  koī  mahram  na  huā  thā
paate  hī  ḳhajil  rahm  kā  dariyā  umaD  aayā
parda  mirī  āñkhoñ  kā  abhī  nam  na  huā  thā
rusvā  na  kar  is  soz  ko  ai  sham-e-lab-e-gor
jo  vāqif-e-dil-sozi-e-hamdam  na  huā  thā
ghar  ḳhair  se  taqdīr  ne  vīrāna  banāyā
sāmān-e-junūñ  mujh  se  farāham  na  huā  thā
ik  kufr  sarāpā  ne  kiyā  hashr  kā  qaa.il
maiñ  mo'taqid-e-hashr-e-mujassam  na  huā  thā
har  dil  meñ  na.ī  shān-e-tajallī  hai  ki  'fānī'
nashtar  hai  vo  andāz  jo  marham  na  huā  thā