dil  kī  har  larzish-e-muztar  pe  nazar  rakhte  haiñ
vo  merī  be-ḳhabarī  kī  bhī  ḳhabar  rakhte  haiñ
dard  meñ  lutf-e-ḳhalish  kaif-e-kashish  paatā  huuñ
kyā  vo  phir  azm-e-tamāshā-e-jigar  rakhte  haiñ
jis  taraf  dekh  liyā  phūñk  diyā  tūr-e-majāz
ye  tire  dekhne  vaale  vo  nazar  rakhte  haiñ
ḳhud  taġhāful  ne  diyā  muzhda-e-bedād  mujhe
allāh  allāh  mire  naale  bhī  asar  rakhte  haiñ
bebasī  dekh  ye  sau  baar  kiyā  ahd  ki  ab
tujh  se  ummīd  na  rakkheñge  magar  rakhte  haiñ
hai  tire  dar  ke  sivā  koī  Thikānā  apnā
kyā  kahīñ  tere  ujāḌe  hue  ghar  rakhte  haiñ
koī  is  jabr-e-tamannā  kī  bhī  had  hai  'fānī'
ham  shab-e-hijr  meñ  ummīd-e-sahar  rakhte  haiñ